Ode to da general

Mana ke me aaj mushkil me ghira hun

Dekho Tufan may kis qadar himat se khara hun

Ab samna hay mujhe mukhalif hawaon ka

Par sath hay mujhe ma ki duaon ka

Zalim khud mujh pe zulm ka ilzam lagate hain

Koi puche ke woh is mulk ke liye kya chahte hain

Main tanha ho ke bhi tanha nahi ye baat tum jan lo

Qom ke logon aaj tum apne ghairon ko pehchan lo

Yaad karo ge mujhe jab may chala jaon ga

Sipahi hun mulk ka seat tu kia jan bhi de jaon ga!!

I received this poem when he retired, as I was reading it today my heart ached and I thought i should share it with the world. How true its words ring today. (apologies to those who cannot read urdu translating it makes it lose all its spirit)

3 comments

Comments are closed.