Us ki qandeel ke noor tale
Lehron pe jhoomte huaye
Momin jiye ja rahe hain
Halki halki moseeqi me
Baton ke pahar banate
Thori see piye ja ra hen
aur woh un ka rab is soch me hay
Ke me ne kis mitte se inhe bana dia
Farishton ko in ke samne jhuka dia
Ye tu meri hi shahkar me bethe musanif ko talash kiye ja rahe hain
Bus apni faniat me mast jiye ja rahen hain apni taskeen ke liye thori si piye ja rahen hain
Takmeele rooh kaise ho gi woh cheekthe hain ye dunya kaise kho gaye woh sochte hain
Aray agar rooh ka mamla hay tu sharab angrezi nahi eeman ki chahye
Agar mohabbat karni hay tu paymana dar ka nahi junoon ka chahye
Bas apni hi dagar me jiye ja rahen hain
Aur thori si piye ja rahen hay
Jo hosh hote huaye bhi behosh hay
Jo parda orh ke soche andhera kyun hay
Woh takmeele rooh kaise paye ga
Woh jannat ke maiwe kaise khaye ga
Duniya ke aish me gum jiye ja rahen hain
Aur thori se piye ja rahen hain
Hey didnt know FK was such a great poet too 🙂 This is awesome stuff 🙂 Please write more…