Pyar karo tu jano ge

Pyar karo tu jano ge
ke pyar dil se hota hay dimagh se nahi
pyar taranum se hota hay zimaydari se nahi
pyar darya ki tarah hota hay kinare ki tarah nahi
pyar karo tu jano ge
lahu jis tarah gardish karta hay dil ke gird
parwana bhi usi tarah gardish karta hay shamah ke gird
jaise koi deewana gardish kare mehboob ke gird
pyar karu tu jano ge
ke pyar dard me aksar ikhtitam hota hay
magar  ye dard bhi tu kitna meetha hota hay
kyunke agar dard na ho tu sukoon ki qeemat kia
agar manzil na ho tu safar ka mazah kaisa
pyar karo tu jano ge
pyar insaan ka sab se purnoor jazba hay
kyunke har khuda bhi apni makhlooq se pyar karta hay
Aur woh mukhloq jo is jazbe ko na samjhe
woh phir sirf badzauq nahi badqismat bhi ho jati hay
woh upar se tu sahi lagti hay magar apne hathon hi andar se bik jati hay
pyar karo tu jano ge
One comment

Comments are closed.